Paryavaran (Environment) Poem by Poonam Mehta

Paryavaran (Environment)



Aasmaa hai Qam nila,
Paani bhi karta adha gila.
Imaaraton ki unchhai dekh,
Ab hara bhi lagta matmaila.

Dharti jab tab hilne lagi hai,
Sagar se ja milne lagi hai.
Anhoni ko kaun taal saka hai,
Tsunami se insaa haar chuka hai.

Sadiyon se jami barf pighal rahi hai,
Suraj ki tapish se dhara jal rahi hai.
Bhrashtachaar kam nahin hota,
ganga naha ab koi paap nahin dhota.

Ek anjaana dar ghar karne laga hai,
Jeena durbhar hone laga hai.
Kal sunehra banane ki chah mein,
hamara aaj chinta magn hone laga hai.

COMMENTS OF THE POEM
harshita kandpal 27 June 2019

hindi me likho please kuch samjh nahi aya

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success