Panchi Poem by Panchi Gupta

Panchi

Rating: 5.0

Yu to bas kehne ko hi me aajad panchi th,
Jane anjane kitne ankahe rishton k bediyo me jakdi th;
Seemae to mere bachpan se h tay ho gyi th,
Aur me nasamjh apni h dunia me khoyi hui th;
Jane ye waqt k maang th ya kuch or jisne mera najaria badal diya,
Ek seema ko bh par krne me waqt lgta h, yaha to ek pal ne mera astitva
palat dia;
Me to har mulk ko apna desh or har gali me apna ghar bnana chahti th,
Pir Kyu unhi logo ne ghar se beghar kr dia gya jinhe me apna manti th;
Ek taraf gujarta Hua har lamha mjhe beete hue kal k yad dila rha tha,
Aur vahi badtha Hua samay mjhe apni or bula rha tha;
Jane anjane me kitni seemayen langh chuki th,
Aur sunhare Bhavishya k har Kiran iss panchi ko apni or bula rh th...

COMMENTS OF THE POEM
Ramesh Rai 02 March 2014

bahut badhia likha hai aapne. birds are free from all boarder lines. keep writing.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success