Pain Poem by Panchi Gupta

Pain

Me bhi sab k tarah aaj rona chahti hu,
Apna gussa shabdo se bayan karna chahti hu;
Ek haste hue chehre k peeche chipe hazaro dard btana chahti hu,
Par iss bhagti si zindagi me 'Pehchan' banane me sab bhul jati hu;
Na chahte hue bh kai 'Ankahe' rishton me ulajh hi jati hu,
Aur pir hamesha k tarah uss rishtey se ek umeed k aas lagati hu;
Sajati hu Sapne k tarah or ek nanhe 'Ped' k tarah ugati hu,
Tut jati h jab ummeden mere to aankho me kai sawal liye unhe ussi mitti me dafan kar aati hu;
Pir jab baithti hu tanha kabhi to 'khud' se ye sawal pooch h jati hu,
Sab jante hue bh kyu kisi se umeed lagati hu, kyu khud ko h takleef pauchati hu;
Band kar aankho ko tabhi kisi 'Anokhi' dunia me pahuch jati hu,
Aur uss rishtey se judi sabhi 'Yaddon' ko pir se jee jati hu;
Kholti hu jab aankhe apni pir kal koi 'umeed' laga lungi bas 'Me' itna samajh jati hu....

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success