Noor E Mola Ali (As) Poem by farhat zaidi

Noor E Mola Ali (As)

Dill mai meray utraa tou uttarta chala gaya
Nass nass mai meri noor bekharta chala gaya

Ek shakss jiska naam ALI alay e salaam hai
Who zahhen ke haddoun se guzarta chala gaya

Leta gaya mai naam tou outhtay gae hejjab
Mera her aik kaam sanwarta chala gaya

Mola hai jiska ahmad e mursall ali bhe hai
Munkeer howa jo deen se bhataktaa chala gaya

Mushkil kusha nekal kay lashkar ko lay gaya
Pani ferouneyoun ko dabota chala gya

Kahhtay hain khoultay thay jisay mil ke beseoun
Jumbesh se ongliyuon ke ukharta chala gaya

Jaysay he larkharaya kaha YA ALI madad
Fouran se payshtar mai sambhalta chala gaya

Mushkil mai souchta tha kay kis ko pukaroun mai
Mouh se ALI ka naam nekalta chala gaya

Dua madder e ALI ke howe ayse mustujjab
Rasta dewar e kaa'ba may banta chala gaya

Sabko tha yeah guman kay utray ga ouskay ghar
Tarra ALI kay darr pay outtarta chala gaya

Mera kammal kuch nahi ya raab gawahh rah
Likhwata gaya koi mai likhta chala gaya

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success