Neta Ji Ka Aswashan//Hindi Poem by shambhu nath

Neta Ji Ka Aswashan//Hindi



Jeet gaye gar is chunaw me
Bharat ka bhagya jaga dege
Dharti par chaand bhula lege
Amrit ras barsa dege
Mai us dal ka nirman karoogaa
jisame rahe sachchai ki aashaa
atyachaar na paap rahe
bole log prem ki bhashaa
unch neech ka bhed bhaaw
ghaple par ghapla jo chal raha
mandir masjid jhagra jo
din prtidin badh raha
rokege saare papo ko
sachchayee ki alakh jagaa dege
na karege neta afsar ghapla
ghoonshkhori ka na naam rahe
la lagegaa ka ghaataa kisi jagah
mar insaa ka dil saaf rahe
gar kabhi samay mera aaye
bhagwan ray bataa denaa
gar bhatak jaoo in raaho se
bhole baba hame bachaa lena
aman chain kaa vaash rahe
aisa kanoon bana doongaa
jeet gaye gar is chunaw me
bharat ka bhagya jagaa doogaa
aisa itihar likhaoogaa
logo ki shaan nirali hai.
Sab me bhaichara ho
Meri ye aash purani hai
Boodhe bachche rahe prem se
Bhoonkha koi nahi soyegaa
Sab khushiya rahe desh me
Koi kabhi nahi royegaa
Khud seechoo gaa sabhi baag ko
Dhool me phool khila doogaa,
Jeet gaye gar is chunaw me
Bharat ka bhagya jaga dege

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
shambhu nath

shambhu nath

Pratap Garh Uttar Pradesh
Close
Error Success