Nayi Zindigi Poem by Souren Mondal

Nayi Zindigi

Rating: 5.0

Aao fir chalte hai
Tum aur hum,
Shaam hai mehki huyi
Hawayo mein hai gulabo ki khusbu

Chalo fir baadte hai maikhane ki aur
Aaj ghum me dube huye humare
purane doston
Se mil ke aate hai hum

Unki zindigi mi dard hai mili
jaise mai mai milta ho paani

Saab ki dil ke dard ko
baatenge aise jaise
bachpan me school mein tiffin baatein the

Sab gaaye hai chood hume
par ab bhi tumhara hai saath kyun?

Mai me dubi huyi hai tumhari shaamein

Kabhi kisi Asad ne bole the jo labhj

Ab bhi dil me teri goonjti hai wo kyun?

Aao na phir
chaalein hum
aaj ki shaam me hai
kuch kaami

Aankhon me tumhare aj kyun hai ye naami? ?

Tumse juda hone ka na hai mujhe koi dard mere dost

Par ab humara waqt jo khatam hone ko hai
Jaana to parega hi tumhe...

***

Yaar jo mera gaya tha chod mujhe
Saalon pehle mere dost

Aj us bewafa ke jhoot nahi rulati hume

Aai nahi aati hai dil se koi aawaj

Kehti ho jo

'Dard hai in saason mein
Dard hai in baaton mein
Khaali hai meri bahen
Aaja laut ke tu bewafa
Tujhe bhar ke karna hai mohabaat
Sunapaan hai mere dil mein'


Ye main nahi tha tum the mere dushman-dost

Aaj na hai koi sunapaan

Aao aaj chalte hai tum aur hum

Ek akhri baar jaana hai mujhe maikhane mein
Milna hai doston se phir

Kehna hai unse
ke dost mere

Na pi iss zeher ko smajh ke koi dawayi

Na pi iss zeher ko samajh ke koi dawai

Na hai iss me marj koi
bas hai to hai tabahi...

To Gham mere
aao fir chalte hai hum
ek akhri baar maikhane

Ye shaam hai akhri dukh ki shaam
kal se hai to hai sirf khushiyan

Baanjar bagiche me mere
Ab laut aayi hai hariyali

Na royenge ab us ke liye
Jis ne diya tha dhoka

Nayi zindigi jo hai mili mujhe
Ab mujhko kis ne hai roka! !

Souren Mondal
February 1,2016

Monday, February 1, 2016
Topic(s) of this poem: hope,love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Jab gulshan me khile gulab / To mehke zindigi.. Jab ho yaar se pyaar/ To behke dil kahi...💏💏❤❤
COMMENTS OF THE POEM
Abhilasha Bhatt 08 February 2016

Mehek zindagi main ghulti hai pyar se pyar ki Dard zindagi main ghulta hai daga se pyar ki Phir zindagi main khushboo gulti hai duaa se pyar ki..... A beautiful poem....loved it....thank you for sharing :)

1 0 Reply
Souren Mondal 08 February 2016

Sukhriya Abhilasha :)

0 0
Akhtar Jawad 01 February 2016

Nayee zindigi, naye vichar, nay safar magar wuhi purana peyar, ashao ke deep abbhi jagmaga dete hayn ek kavi ke veyakul man ko, auor veyakulta ban jati hay aysi sunder kavita.

3 1 Reply
Souren Mondal 02 February 2016

Sukhriya Akhtar sahab. Naye mein humesha kuch purana chupa rahta hai...

0 0
M Asim Nehal 01 February 2016

Wah wah Kya baat hai......bahut khoob....Maza aagaya padhkar.... Chalo aaj phir se unka deedar kare hum Jo chhod gaye humko kyun intezaar kare hum? 10+++

3 1 Reply
Souren Mondal 02 February 2016

Sukhriya Asim :)

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success