Nafarmaan Nakhalaf Aulaad Ka Noha- Elegy Of A Disobedient And Evil Son Poem by mazHur Butt

Nafarmaan Nakhalaf Aulaad Ka Noha- Elegy Of A Disobedient And Evil Son



BeAdab gustakh jab aulad ho jae
Chain sukh maa'n baap ka barbaad ho jae


Cheen le budbakht jo walid ka sarmaya
Jeete jee kion baap na barbad ho jae


Aasteen ka saamp that beta nhi the woh
Maut ae usko woh barbad ho jae

Baap kee jo he raza Allah kee bhi he
Aashna is qaul se aulad ho jae


Maa'n ke hee pairoan talay jannat ko kar talash
Rah se bhatka jo too barbaad ho jae


Beta boorhay baap ka baazu he kehlata
Beta ye na samjhay toh barbaad ho jae


Nek o taabaydar ho aulad to wallah
Walideen ka dil khushi se shaad ho jae


Kia karein woh waladeen jab nakhalaf beta
Mayel e jaur o situm eejaad ho jae


Qibla o Ka'aba kuch kumtar nhi maa'n baap
Kaash hurmat aashna aulaad ho jae


Deen o dunya chin gaee naKhalf betay se
Baap per jo mayel e bedaad ho jae


Tu ne mera dil dukhaya to he mere lal
Hashr tak tu unsuni faryaad ho jae


Kion na ho jae pidar phir zinda dar-goar
Jab pisar badbakht hee sayyad ho jae

Monday, November 3, 2014
Topic(s) of this poem: children
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success