Na Chemistry Hoti Na Love Hota Poem by girish parganiha

Na Chemistry Hoti Na Love Hota

Rating: 5.0


Na Chemistry Hoti Na Love Hota


Na Chmistry hoti na main Student hota
Na ye Lab hoti Na Ye Accident Hota

Abhi Practical main ayee nazar Ek Larki
Sundar thi Naak Us ki Test Tube Jaisi

Baton main Us ki Glucose ki Mithas thi
Sanson main Ester ki Khushboo bhi sath thi

Aankhon se jhalakta tha kuch is Tarah ka Pyaar
Bin Piye hi ho jata hai Alcohol ka Khumar

Benzene sa hota tha Uski Presence ka Ehsaas
Andhere main hota tha Radium ka Ahsas

Nazrain mileen, reaction hua
Kuch is tarah Love ka Production hua

Lagne lage Us ke Ghar ke Chakkar aise
Nucleus key charon taraf Electron hon jaise

Us din hamare Test ka Confirmation hua
Jab us ke daddy se hamara Introduction hua

Sun kar hamari baat wo aisay Uchal pari
Ignesiun Tube main jaise Sodium Bharak uthe

Wo boli, Hosh main aao, Pahchano apni Auqat
Iron mil nahin sakta kabhi Gold ke saath

Ye sun ker Tuta hamare Armanon Bhara Beaker
Aur hum Chup rahay Benzaldehyde ka Karwa Ghoont pee ker

Ab us ki yadon ke siwa hamara Kam chalta na tha
Aur Lab main hamare Dil ke siwa kuch jalta na tha

Zindagi ho gayee Unsaturated Hydrocarbon ki Tarah
Aur ham phirte hain Awara Hydrogen ki Tarah

COMMENTS OF THE POEM
Anjali Sinha 20 October 2008

My God its sooooooo beautiful Dr. Saab, ! ! ! ! You have used the full textbook of Inorganic and Organic Chemistry here. and you really think that when you approached her Papa -- she said wat the helll ? do u know the difference between iron and gold.--Well then shes a fool coz you are not only gold but solid nugget gold pure 23 carrats. again this goes to my fav list and A+++++++ and 10++++++++. regards anjali. (please give the translation if you can for our other readers here on PH)

0 0 Reply
Dr Rajesh Kumar Vaid 01 December 2008

Great, Great, Great Dr sahib, maja aa gaya yaar, aap chaa gayen! Mera to Chemistry 101 ka revision hi ho gaya. Beautiful hilarious poem and 10.

0 0 Reply

I would have preferred to write "Na Physics Hotee, Na Pyaar hota "……. Lol….

0 0 Reply
Flavia S.v. 03 April 2009

dr. hitesh paagal hai who keheta hai na ladkiya hoti na demag kharab hota-- lekin who mujse pyaar karta hai--tho fir abhye kya kehena--10

0 0 Reply
Dr Hitesh Sheth 25 December 2008

Na sun hota na earth hota Na ladkiya hoti na demag kharab hota............ Goes in my favourite list.......

0 0 Reply
Vaibhav Pandey 18 December 2008

chemistry was never so beautiful dil khush ho gaya sir

1 0 Reply
Malini Kadir 13 December 2008

you sense of humour and chemistry.....set of a series of chemical reactions....immediately! loved your poem Dr sahib! lovely!

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success