Muhabbat Poem by Akhtar Jawad

Muhabbat

Rating: 5.0

Rooh ne dil se kaha tubhee muhabbat kar le,
Zindigi karwi hay thori si halawat bhar le,
Dil ne tasweer dikhai to tha ek sada waraq,
Na koi rang tha kaghaz pe na koi thi ramaq,
Dil sa koi nahin dekha ke na iska sani,
Dil ki har bat sada mani hay yeh bhi mani,
Maine tasweer se poocha ke muhabbat keya hay,
Yeh kahan milti hay aur iski halawat keya hay,
Tu to ek sada waraq hay tujhe dekhoon kaise,
Sijde kar loon ga magar main tujhe choomoon kaise,
Tune kanon mein kaha phool ke rang aur khushboo,
Dil ki palkon pe larazte yeh chamakte aanso,
Chand taron ki chamak aur yeh urte badal,
Pyas dharti ki bujhate ise karte jalthal,
Yeh chahakte hue panchi yeh lahakte hue khet,
Chandni raton mein sahra ki chamkti hui ret,
Gungunate hue jharne yeh paharon ka ubhar,
Aam ke bahgon mein urte hue jhoolon ka malhar,
Yeh matakte hue darya ka samunder se milan,
Pee ke jhukta hua bahki hui dharti pe gagan,
Sabz pairahane rangeen se yeh dharti ka nikhar,
Aa zara dekh le fitrat ne kiya solah singhar,
Maine yeh roop bikhera tha simatne ke liye,
Han faqat tere tarapne ke machalne ke liye,
Ek larki mujhe maloom hay bhati hay tujhe,
Wuh samete hue yeh husn bulati hay tujhe,
Talkhian kutch na bachen gi ke halawat hay yehi,
Ja use choom mere dost muhabbat hay yehi.

Saturday, December 13, 2014
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
Ajay Kumar Adarsh 22 August 2016

awesome nazm 10++ for this line 10+++ Sijde kar loon ga magar main tujhe choomoon kaise,

0 0 Reply
Khalid Saifullah 10 December 2015

Khoobsoorat, mutasirkun................................................

0 0 Reply
Deepak Kumar Pattanayak 15 December 2014

The beauty of Nature so beautifully depicted and towards the end of the poem it even shines brighter with the beauty of a woman.........this is real beauty and creativity indeed.........10/10

1 0 Reply
Khalida Bano Ali 14 December 2014

Throughout the poem it's description of nature but ultimate climax is the beauty of a woman. A poem in specific Akhtar Jawad's style and as usual a nice romantic poem...................10

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success