Meri Ragon Me Meri Maa Ka Khoon Hai Poem by Ahatisham Alam

Meri Ragon Me Meri Maa Ka Khoon Hai

Rating: 4.5


Haan meri ragon me khoon meri ma ka hai
Us ma ka jisne hmesha dusro ke liye apni khushiyan kurbaan kr di
Us ma ka jisne apna sbkuch luta kr bhi apno ko mitne na diya
Jo mauka parast logo ko samjh na saki aur khud kisi charaag ki tarah jalti rahi
Dusro ko roshni di magar usko andhera hi mila
Jo khud zarra bnke zamin pe rahi magar sath diya aasma ka
Ha meri rago me khoon hai usi ma ka
Wo meri ma ko tadpa kr pana chahta tha kamyabi ki raaho ko
Wo sun tk na saka kisi ki khamosh nigaahon ko
Aaj wo kamyab hai bulandi par hai
Uski wajah se koi aaj pasti par hai
Wo lutf utha raha hai dilkash samaa ka
Magar meri ragon me to khoon meri maa ka hai.

Wo kahte hain mujhko ki ye bhi apni ma ke jaisa hai
Waisa hi maasum bhola aur nadaan hai
Ye kya mere jaisa bnega
Jo itna aaj ki duniya se itna anjan hai
Ye sch hai ki mai bhi kabhi kabhi unke jaisa hona chahta hun
Apne usoolon ko todkr apni hakikat khona chahta hu
Magar koi cheez to hai jo mujhse kahti hai
Wo b kya zndgi hogi jahaan insaano ki ahmiyat hai na insaniyat ki pahchan hai
Mera dil kahta h na chuno wo raah dard dena hi usul jis jahaan ka hai
Shayed meri ragon me khun meri ma ka hai

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success