Meri Maa Poem by dr.Neha gupta the POEMLOVER

Meri Maa

Aaj us khuda ko shukriya krna chahti hu
Magar shabda kam kam hai
Zindagi b dedu to kam hai
Har pal vo mere sath tha
Bs mai hi nahi dekh payi
Mai to kahin dur dekh rahi thi
Rahen b bhatakti rahi
Magar koi tha jo mjhe sahi raha dikhata gya
Uski hr dua me mai hi thi
Mera hr dard usne le liya
Uski muskurahat k piche chupe aasu ni dekh payi
Magar sach to ye hai
Jiske liye hum pal pal rote hai
Jiske liye pal pal rote hai
Or use pane ki koshish me sav bhul jate hai
Bs hum un hatho ko ni dekh pate
Jinhone hme chalna sikhaya
Un aakho me ni dekh pate
Jinme hmare liye sirf pyar hsi
Jisko pane k liye hume pal pal rona ni parhta
Jo hmare liye pal pal jeeti hai
Hr drd ko sukun me badal deti hai
Vo kbi tumse shikayat ya shikwa ni krti
Bs chupchap hmari khushiyo k liye zindgi k liye duaen mangti hai
Jo hme is duniya me layi hai
Hmara aasu usko zakhm sa chubhta hai
Hmari bhool ki saza vo mang leti hai
Hme barish se bchane k liye khud bhigti rehti hai
Kbi pani se to kbi aasuo se
Apni aakhri saans tk o uske baad b hr barish ki bund ko
Hr us aag ki chubhan ko
Apne upar le leti hai
Aaj agar hmare hone ki wjah ya khwa. Pura hone ki wjah koi hai to vo hi hai
Hmare har pal pe agar haq hai to vo uska hi hai
Agar koi hai jo tmhari hr galiti k baad n
B tmhe apnati hai ya maaf kr deti hai
Jiska hme pyar pane ki koshish b ni krni hoti
Jo hme pyar me rulati nahi
Pyar vo hai jo ghat ta ya bdta ni
Time k sath badalta b ni
Jisme dhoka shabda hi na ho
Jisme hum akele ni hote
Or vo pyar hume duniya me sirf ek se milta hai or vo koi or nahi hmari maa hai jo hmaree janma dene se pehle b or janma k bad b hmare hr dard ko dehti hai
Hamari zindagi ka ehsaas hmse pehle use hota hai
Hmari pehli saans or dhadkan hmse pehle vo mehsus krti hai
Duniya ka koi rishta isse badkar ni hota
Hm kitna b naye rishte bnaye o unhe pyar ka naam de
Magar sirf maa ka hi pyar hai jo hme hmari pehli sans se aakhri sans tak milta hai
Hm kisi ko b zibdagi ka karan keh de
Magar karn bs ek hai, jo hme is duniya me layi hai
Jo hme zindagi dene k liye hr drd sehti hai
Maut k dr ko b hmari zndagi mankr jee leti hai
Hm kaha kaha pyar me bi bhtakte
Aakhri ek rasta khula rehta hai
Hmse bichadne k drd ki bhul kr
Hmare ane wale palo k liye
Hume kisi or ka hote b seh leti h
Apni akhri sans me b tumhe hosla deti h vo maa hoti hai

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success