Meri Kahani...Tumse Hi... Poem by Tapashya Das Sinha

Meri Kahani...Tumse Hi...

Rating: 3.6


Na jane;
Aaj ye jhoke hawa ke
Mujhse kya kehe rahi hai,
Na jane;
Sare phool mujhe dekh sharmake
Kyu muskura rahi hai,
Na jane;
Hoke madhosh kyu
Ye patte dol rahe hai,
Na jane;
Kyu hoon mai aanjan
Aaj in kudraton ke haseen isharon se,
Na jane;
Kyu aaj ye dil sunna chahta hai
Bol sirf
Pyaar, ishq, chahat aur mohabbat ke…

Ye dilwale kafi aajeeb hote hai,
Kafi dilkash unke andaz hote hai,
Bade dildar hote hai ye janaab,
Natkhat bhari wo unki
Saadgi bhara swabhav,
Ye wo shikari hai
Jo mohabbat ke jaal bichaye,
Zalim,
Zubaan se ishaar nai karte
Per nigaahon se war kar jate hai…

Ye mohabbat ek wo dariya hai
Jisme hum dubte chale gaye,
Iski unchui geherai ko chute chale gaye…
Is dariya ka kinara to hai,
Per hum apne aapko kinare tak,
Pohochne na de sake
Hoke madhosh hum bus,
Dubte chale gaye…
Shayad yehi ek wo dariya tha,
Jisme hum doob ke
Zindegi ko jeena sikh gaye…

Aapki ada bhi kya khoob hai,
Aapki nigahein apke dil ke raaz kehe jati hai,
Per us dil se puchu to
Aapki zuban bayan nai kar pati hai
Jane wo kaun se lafz hai,
Jo aapke hoonth bol nahi pate,
Un ankahin baton me
Na jane;
Kaisi nazakat hai,
Ki mere palke sharmake jhuk jate…

Aapse do baten karna to ek bahana hai,
Aapse apne yaadon ko batna bhi ek bahana hai,
Mulakatein to hoti reheti hai,
Haqeeqat to ye hai,
Bahane se bahana banana hi ek
Pyaar ka bahana hota hai…

Aarz hai;
Ye nigahein aap na jhukao,
Gustakhi to humne ki,
Sharm se yu aap na sharmao,
Sharmindegi to humne di,
Hoke pareshan,
Aap na ho yu bechain,
Kyu ki kambaqkt,
Bechaini bhi to humne di,
Dil pe rakh ke haath aap yu na itraao
Kyu ki aapne to sirf apne dil ka ishaar kiya,
Aur humne to tahe dil se aapse mohabbat ki…

Tere yaadon mein mai is qadar khoyi rahu,
Lage jaise jag kar bhi soyi rahu,
Tere khayaloon me apni,
Aalag hi duniya banati hoon,
Bus teri khushi me
Apni saari khushi manati hoon…
Bandh karu ye aankhe,
To lage,
Tere bahoon me reheti hoon,
Kasam hai teri,
Har hawa ke jhoke ko bus tera hi sparsh manti hoon…

Tujhse pyaar karna to meri aadat hai,
Tera pyaar hi ek bus meri latt hai,
Tera saath hi mera ek waqt hai,
Hai jo tu ek bus meri taqat hai…
Tere saanson me meri karwat hai,
Tujhe chahana meri ibadat hai,
Teri khushi hi is dil ki rehmat hai,
Tera sahara hi ek bus meri jannat hai,
Hai tu ek bus meri amanat,
Tujhko pana hi
Mere dil ki mannat hai.

Subha banu teri,
Suraj ki laali banke,
Kadi dhoop me
Teri chaon banu,
Wo barkat banke,
Dhalte shaam me saath rahu tere
Wo nashili jam banke,
Tere tanhai me tujhe gheru,
Apne bahoon me
Wo raat banke,
Tere sare taqleefen apna loon
Wo kiza banke,
Sawan me jhoomu tere sang
Mor banke,
Khushnuma jeevan ho tera,
Aur mai teri,
Chha jau mai tere zindegi me,
Wo indra-dhanush banke,
Hai ye bus dua meri…

Tere dil ko apne dil se jod rakha hai,
Hamare do dilon ko
Maine apne dhadkano se bandh rakha hai,
Un dadkano me hai saanse tumhari,
Per hai isme zindegi hamari,
Hai khush naseeb,
Ye zindegi, ye jawani
Kyu ki hai ye anokhi.
Bus teri-meri kahani,
Saang dil chale leke
Wo pyaar ki bimari…

Teri bechaini me
Ye rooh tadapti hai,
Tere aawaz sunne ko ye kaan tarasti hai,
Shayad kahi door khafa hai tu mujhse,
Kabhi bhula na de teri yaaden mujhko,
Yehi soch ke ye dil darta hai…
Meri jaan hai tujhme basi,
Tera dil ye jaanta hai,
Ek tuhi mera sahara,
Shayad tu bhi isse manta hai…
Tereliye ban na jau padosi kahi,
Yehi soch ke mera soch darta hai,
Kyu ki,
Ye dil bus ek tujhi ko hi chahata hai…

Hum de chuke hai tujhe
Wo dil apna,
Tujh pe haar chuke hai
Wo dil apna,
Meri duniyan me hai
Ek tuhi apna,
Tere sang mai har ek pal jeeu,
Hai ye meri ek aakhri sapna…

Hai ek bus tu mera,
Jisse mai apna keheti hoon,
Hai bus teri yaadein wo,
Jise mai yaad karti hoon,
Na jaana kabhi door mujhse tu,
Shayad ye hardin tujhse keheti hoon…
Na hoga tu kabhi door mujhse,
Hai bharosa tujhpe,
Mai har lamha apne dil se keheti hoon…

Mana ki hum door hai,
Kyu ki ye halat majboor hai,
Hum door hoke bhi paas hai,
Kyu ki,
Is dil ko tumse milne ki aas hai,
Teri yaadein
Mujhe tujhse alag na hone de,
Jo hoti hoon tanha akeli,
Bin tere pyaar ke
Na rok mujhe,
Thoda ro lene de,
Thoda Ro lene de…

Teri yaadein is dil ko tanha kar jaye,
Teri yaadein in saanson ko khamosh kar jaye,
Duniya ke aage ye nigahein ro bhi na paye
Bus yuhi tere pyaar ka silsila,
Chalta chala jaye
Chalta chala jaye…
Jhuke jab ye nigahein,
To aansu chalak jaye,
Tere bicchadan ki peed ye hoonth
Kisiko bayan bhi na kar paye,
Bus teri chavi,
Teri pyaar ki dastaan
Mujhko mayus kar jaye,
Aur yuhi tere pyaar ka silsila,
Chalta chala jaye,
Chalta chala jaye…
Aye khuda,
Tune ye duniya kyu banayi?
Insaan to insaan,
Tune ye mashab kyu banayi?
Ye gustakhi maine ki hai,
Jo bewafayi maine tujhe di hai,
Shayad na hai afsos ki,
Maine tera dil toda,
Shayad isiliye kyu ki,
Maine apno ke liye tujhko chora,
Shayad ab na hoga tera saath,
Shaya na mile mujhko ab tera maaf,
Meri saanse gava hai,
Ayegi yaad har lamha wo pal,
Jab tak the tere haathon me mera haath…

Jane kitne dino ke baad,
Us bheed me ye nigahein,
Teri bus ek jhalak ko tarse,
Jo aaye na tu nazar,
Ye dil jane kyu
Zoro se dhadke,
Ummeed chor chuke the hum tumse milne ki,
Fir tera wo sparsh,
Wo tha ek khubsurat harsh…
Na jane kya jadoo the us ek pal mein,
Mujhe kar gayi madhosh madhosh madhosh…
Bus kho chuki thi mai apna hosh…
`aye zalim;
Nahi hai ye koi nai si baat,
Hai ye sirf ek mera dil ka dosh,
Jo tere pyaar ke khushboo se,
Bus yuhi hojata
Khamosh khamosh khamosh…

Teri khamoshi mujhe is qadar rulaye,
Khana to kya,
Niwala bhi na khilaye,
Neend ati nahi,
Aur ye bechaini na sulaye,
Bhulana chahti hoon gam apna,
Jo bhule nahi bhulaye…
Pyaas meri bujh si gayi,
Pani ki aas mano mit si gayi,
Jab ye dil,
Ye rooh,
Pyaas ki trishna se tadpe,
Majboor ye nigahein apne boondh se,
Unke pyaas bujhaye…

Aye bewafa!
Tere bewafai kya kya tofa du?
Yaad jo aye teri,
Man kahe do lamha zara ro loon…
Tere bin jeene ki tamanna na thi,
Per aaj hai wo din,
Jab tujhe aur is duniya ko
Meri zarurat na thi…
Sanam tu bewafa nahi,
Na hai teri khata,
Hai ye bus ek meri hi
Bedardi kismat,
Jo najane kyu
Hojata rehe-rehe ke khafa…
Aye khuda!
Kyu kar raha wo,
Dekh kar bhi andekha mujhko?
Kya le raha wo meri takleefon ka maza?
Shayad yehi hai mere zindegi ki,
Sabse badi saza,
Sabse badi saza…

Hoti hoon bebas,
Jab na ho saath tera,
Muskura ke sehe leti hoon,
Wo har nafrat tera…
Rota hai ye dil,
To nam hoti ye nigahein,
Bus ek intezar me tarse,
Tere ek sparsh ko,
Meri ye bahein…
Kyu ki besharm hai ye dil,
Jo sirf tujhko hi chahe…

Hai wo teri angeenat yaadein,
Jo ye dil yaad nahi kar pati,
Aanjan hoon mai,
Un yaadon se,
Jo mujhe sone nahi deti…
Hoke pareshan,
In yaadon se door hona chahti hoon,
Per mera dil ye na mane,
Bole;
Aur bhi in yaadon ki geheraion mein
Kho ke doobna chahti hoon…

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success