Mere Jajbat Poem by Aftab Alam

Mere Jajbat

Rating: 5.0

dil kabhi barf to kabhi pani hota hai
shayad is liye ye kabhi hansta to kabhi rota hai
mere chahne se kya hoga
usne na chaha to kya hoga
jindagi taas ke patton si nahi bikharti
ek aag hai jo ander hi under hai sulagti
saans lena bhi muhal hai yahan
ya rab ye teri duniya, ye tera jahan
na pyar hi samjha na hi nafrat
jiye jata hun, hai jine ki hasrat
har wo tufan jo umadte hain, dilo dimagh me
mera ye tasaur hai, mere is wajud me
ab ye kafila bikharne ko hai
ek nai subah ab hone ko hai

bas intejar hai, teri rahmo karam ka

Sunday, July 6, 2014
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success