Mera Vidyalay Safar.......... Poem by sonali kumari

Mera Vidyalay Safar..........



Ham jab aaye the vidyalay,
Ham kahte maa, hame na
Jana hai vidyala.
ham to bas tere hi pas
rahna chahen.
hame kya pata tha,
hame kya khabar tha,
ki milega wahi pyar
wahi ma ki mamata
bas honge shikshak maa
ki jagah, isi vidyalay me.
ham aaye is vidyalay me,
pade bhi, badhe bhi,
khele, hanse, ruthe bhi,
par kab bade ho gye
ye pata bhi na chala,
itne bade ki aaj
aa gyi hai ghadi hamare
vidayi ki.
bhale hi ham aaj juda
ho rahe hai,
par kahi na khi hamari
yade bhi gahari ho rahi hai.
ham aaj bhale hi bichhad jaye
juda ho jaye
par base to rahenge aapke
dilo me hi.
maaf kijiyega hame
agar kabhi ham aapke
dil dukhaye ho
bhula dijiyega is
nadan ki nadani ko
dijiye hame duaye,
dijiye hame aashirwad,
taki bhavishya me bhi
rhe ham hamesha aage
hi badhate! ! ! ! !

Tuesday, April 28, 2015
Topic(s) of this poem: imagery
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
dis i recited on my farewell
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success