Mera Saaya Ho Tum Poem by Shrini Deewana

Mera Saaya Ho Tum

Jab se paya maine tujhko tab se paya hai khushiyaan maine,
Phir bhi na jaane kyon dilbar rulaya hai tujhko maine,
Tum hi ho mera jeevan tum hi ho mere dil ki dhadkan,
Kardoon sanam apne jeevan kadmon mein tere arpan.

Mere man ke mandir mein bithaya hoon maine tujhko,
Pyaar aur Mohabbat se sanam sajaya hai maine tujhko,
Sanam tujhse milne se pehale bas mein to jee raha tha,
Jeevan ka arth kya hai tujhe paakar hi maine samjha.

Jab jab yaad tere aaye bas hoti hai nami mere aankhein,
Mere har saanson ke sang aati hai yaad teri saari baatein,
Kaise rokoon mein aansuon ko samjha de sanam tu mujhko,
Kaise samjhaoon apne dil ko samjha de sanam tu mujhko.

Mere saanson mein hai basi tu mere palkon mein chupi tu,
Mere dil ke aaine mein banke dhadkan sanam basi hai tu,
Kya hai din kya hai raatein yeh bhi maine na samaj paya,
Kuch samjha hoon to yeh hai ke tu hi hai sanam mere saaya.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success