Mein Tumse Kya Chahata Hoon? Poem by Shrini Deewana

Mein Tumse Kya Chahata Hoon?

Tumahare hothon ki muskaan ban na chahata hoon mein,
Tumahare dil ki dhadkan ban na chahata hoon mein,
Tumahare geeton ke sur ban na chahata hoon mein,
Tumahare payal ki jhankaar ban na chahta hoon mein.

Ai sanam tumahare jeevan mein khushiyon ke phool khilana chahata hoon mein,
Tumahare aankhon mein sama kar rehana chahata hoon mein,
Ai mere sanam mere dilruba mere mohabbat ki devi,
Apne dil ke mandir mein devi banakar tujhe basana chahata hoon mein.

Jahan bhi tu jaayegi tera saaya bankar tere saath hi chalna chahata hoon mein,
Tere kadam jis zaameen par pade wahan phool bankar bhikarna chahata hoon mein,
Tere jeevan ke bhagiya mein ek mehakti phoool bankar rehana chahata hoon mein,
Tu agar chaand ho to tere aas paas sitare bankar chamakna chahata hoon mein.

Apne dil se door na karna sanam tere humsafar bankar sada tere saath rehana chahata hoon mein,
Kabhi tu ghamon se na darna sanam tere jeevan ki rakshak bankar rehana chahata hoon mein,
Tere jeevan ke har kadmon par mein ai sanam tere hi saath rehana chahata hoon mein,
Khuda na kare tujhe kabhi kuch ho jaaye, par agar kuch ho gayee to tera kafan bankar tera saath jalna chahata hoon mein.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success