Mastishka Poem by ramesh rai

Mastishka

Mastishka

Ek computer maine dekha
Lekin uske niyanta ko nahi dekha
Dekha sadiyon ki kalpna
Apne hard disk mein sanjoye huye
Jaise atma hi uska swaroop hai
Lekin soft disk nahi dekha
Dekha koi vartmaan mein baithkar
Uska ek ek button daba raha tha
Ek dhundhali tasweer si aaati hai
Phir ojhal ho jaati hai
Nai disha ko sanket karati
Phir yeh ojhal ho jaati hai
Har kuchh save hota jaa raha hai
Nahi koi remote control
Ise fursat nahi hai
Pichhe mur kar dekhe
Iska c.d chalta hi rahata hai har waqt
Dhundhta hai navinta ko
Lekin prakriti mein har kuchh puratan hi hai
Pahle bhi dekha
Ek anya chakshu se
Jo aaj nahi hai
Jaise reel ko dohraya ja raha hai
Har kshan use bita hua kal nazar aata hai
Aisa lagta hai
Hum aaye then, shayad kabhi
Chuki samay ki koi paribhasha nahi hoti
Wah nahi batlapata
Kab huaa tha
Shayad abhi ya phir kabhi
Badhaon ko paarkar
Samay itla raha
Prakriti ki god mein manav shishu khel raha
Sabhyata ka anchal odhe
Jivan mrityu ke sangharsh mein
Tha fal raha
Nirav veena ke taron mein
Ek pal jaise beeta hua kal
Manushya apna amaratwa tha khoj raha
Tha khoj raha, un bhooli yadon ko
Lekin screen par nahi aata
Hazaron saal beete hue baat
Main tha khoj raha us yantra ko
Jo beete din ki tasweer laye
Hame ehsaas dilaye, us satya ko
Jo aaj asatya ke kohra mein
Jaa chhipa hai

Kitne tyag kitne balidaan ke paschat
Phunch paya is sikhar tak
Bhoo tal par kitni rekhayen khinchi gayee
Phir unhe mita diya gaya
Jaise ret par khinchi hui lakeeren hon
Aatma ka uthan bhi hota hai
Ya patan bhi
Aatma to sabhi jagah hai
Har jivan mein
Amoeba se whale tak
Mudh se gyani tak
Nirbal se shaktishaali tak
Har jagah ek hi hai
Har ek ke gun alag alag hai
Koi sun sakta hai
Koi dekh sakta hai
Abhibyakti ka aadhar har kisi ko hai
Phir manushya hi shreshtha hai, kaise?
Yeh sansaar agar pratibimb hai
To yeh nirakaar hai
To phir yeh asatya hai
Kyumki satya door khara hai.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success