Mann Poem by Ishan Daga

Mann

Aaj fir kuch likh jaane ka mann karta hai
Is bhid se kahin dur jaane ka mann karta hai
Beetein lamhe ko yaad karke gungunane ka mann karta hai
Is zindagi me sada muskurane ka mann karta hai


Tumhare saath har lamha bitane ka mann karta hai
Tere sang kahi kho jaane ka mann karta hai
Tujhe bahut hasane ka mann karta hai
Sirf tere liye hi jee jaane ka mann karta hai


Apne gamo ko mitane ka mann karta hai
Khushiyo ko fir laane ka mann karta hai
Pyar ka khel rachaane ka mann karta hai
Par Bhagwan ko parda giraane ka mann karta hai

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success