Main Kyon Darta Hun Poem by Aftab Alam

Main Kyon Darta Hun

Rating: 5.0

aaj ek kabutar dakhil hua ghar ke ander
iftaar se pahle,
maine bade payar sepucha
tujhe bhi kuch kahna hai to kahle
tu parinda hai ya farista
kyon chahal qadmi karta hai, ahista ahista

thodi der aur thahar
mere saath iftar tu kar

kabutarpankh faila kar ud gaya
shayad wo meri baton se dar gaya

akhir main bhi to ek insaan hun,
shaitano ki bhi main shaan hun

ab to main apne aap se bhi darta hun
khud ko kuch kahne se bhi darta hun

na jaane kyon na jaane kyon
allah hi jane aisa kyon

Sunday, July 6, 2014
Topic(s) of this poem: thoughts
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success