Main Hoon Goondhi Mahki Mitti Mujhe Yar Tum Banado Poem by Akhtar Jawad

Main Hoon Goondhi Mahki Mitti Mujhe Yar Tum Banado

Rating: 5.0

Main khizan jo ban geya hoon to bahar tum bana do,
Main agarchah dosti hoon mujhe peyar tum bana do.
Mujhe tank kar to dekho main sanwar doon ga kakul,
Main jo phool ban geya hoon to singhar tum banado.
Tumhein keya khabar ke hathon mein tumhare keya hay jadoo,
Main jo pheeka pad geya hoon to nikhar tum banado.
Tumhein keya khabar ke aankhon mein tumhari keya chupa hay
Main bujha bujha agar hoon to sharar tum banado.
Ya to tooto aur sajo tum raho banke ek zeenat,
Jo hay tootne se bachna mujhe khar tum bana do,
Mujhe tum gale laga lo main wuhin jiyun marun ga,
Main to jeet loon ga tumko mujhe har tum bana do.
Han bana lo ek khilona chalo tumbhi mujhse khelo,
Main hoon goondhi mahki mitti mujhe yar tum banado.

Thursday, September 3, 2015
Topic(s) of this poem: toy
COMMENTS OF THE POEM
Ajay Kumar Adarsh 22 August 2016

awesome..................................10++

0 0 Reply
Khalida Bano Ali 03 September 2015

Peyari Ghazal..........................................................10

1 0 Reply
Kumarmani Mahakul 03 September 2015

Mujhe tum gale laga lo main wuhin jiyun marun ga, Main to jeet loon ga tumko mujhe har tum bana do..........har bana do.. amusing. A beautiful captivating poem.......10

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success