Mai To Yahi Poem by dr.Neha gupta the POEMLOVER

Mai To Yahi

Rating: 5.0

Jane se pehle
Ek ishara to kiya hota
Mujhe izhaar ka
Ek mauka to diya hota
Tu to yu hi chali gyi
Jese yaha tera kuch
Tha hi nahi
Jesa mujhme tera kuch
Bcha hi nahi
Tere jane se yu laga
Jese mujhme mera
Kuch raha hi nahi
Ye saanse ye dhadkan
Sirf tere liye thi
Mujhme mera kuch
Tha hi nahi
Ab na ek pal b hasi h
Na ek pal b karar
Bus teri yaadon ka pehra h
Or tere aane ka intzaar
Yu to baras beet jaenge
Magar tere bina
Ye lamhe
Ye lamhe na beet paenge
Ek baar laut kr to dekh
Ek baar mud kr to dekh
Koi h jo wahi khada h
Koi h Jo wahi ruka h
Jab se tu gyi h
Zindagi ek dard pe tham gyi hai....

Sunday, August 31, 2014
Topic(s) of this poem: miss you
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 31 August 2014

Jane wale ka yeh sunder beyan jazbon ki khoobsoorat tasveer, Keya bat hay Dr.Sahib!

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success