Mai Koun Hu? Poem by sona sharma

Mai Koun Hu?



Mai hu khawabo mei jine wali ladki
Khyalo ke asman me udne wali ladki


Bachpan mei pariyo ke sang uda karti thi mai
Chocolate ki river mei swimming karti thi mai
Ice cream ke mountain pe baith ke
Sab pe hukum chalati thi mai.

Papa ki pari hu mai, dadi ki chhari hu mai
Bhaiyo ke sang lad lad ke
Mom ki dant se badi hui mai.

Mom ki nakal kar kar ke
Unki chunri se apni sari bandh ke
unki bindi, unki lipstick unke gehne
Pehan pehan ke dekhna
fir kuch tor for dena n dant khana
Fir rona n papa ko shikayat lagana
Papa se mom ko dant lagwana.
Papa ka manana n hajaro wade karna
Mom se b achcha saman la ke dene ka

Kabhi kabhi papa se ruth jana
toh dadi ke pallu mei ja ke chup jana
Dadi ka mom n dad ko fatkarna
N mera fir mand mand muskana

College mei fir mastiya karma
Papa ka nayi bike le ke dena
“Its my Indica”- uspe likhwana.
Bunk marna n kabhi kabhi pakde jana
Dosto se pangey lena, teacher ko chuna lagana
sab ki band bajana par bhai se dant khana

papa mumma, dadi n bhai
i love u sachi, bass keh nahi payi :)
bass aise hi rahiyo sab ki koi jazbaat kam na ho
Khyalat aise hi rahei ki kabhi gam na ho
Dil ke kone mei bass itni si jagah rakhna
Khali khali sa lagey jab Hum na ho
Jab Hum na ho
Jab hum na ho

COMMENTS OF THE POEM
Dr Hitesh Sheth 27 April 2009

hmmmmmmmmmmmmmm.......Good write in Hindi language..........

0 0 Reply
Dr Hitesh Sheth 27 April 2009

hmmmmmmmmmmmmmm.......Good write in HIndi language..........

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success