Maatritwa Poem by ramesh rai

Maatritwa

Ravi ne uska shringar kiya
Pahnaya do swarn kamal
Hontho par lalima
Bhal par damakta lal bindiya
Phir pahnaya swet chunar
Gunthe hain jinme ashankhya manikganj
Aalingan ke padposh mein
Shrishti ki shuraat hui
Baj uthe sankhdhwani
Kahin ajan kahi girjaghar
Gurumukh ki vani se nikli
Sat shree akal ki dhwani
Jain, buddh, mandir, gurdwara
Sab dhwani ka mishran
Vilin hui vayumandal mein
Pawan devta ne sanjoya
Sabko ek ek kar
Diya prani jagat ko kuchh kuchh
Phir naye shrishti ke aagman par
Jisne jo bhi socha paya
Hamne paya apna haq
Ham bada hai ham bada hai
Kahte kahte sab takrayen

Lekin shrishti kab rukti hai
Ab bhi wah chali aati
Nit subah ushayan se
Saj sanwarkar aati hai
Sabhi bachche hai use pyare
Chahe job hi ho unka gun dharm
Sabhi ko khila pila kar wah
Sula deti hai apne kol mein
Dhak deti hai apne
Snehmayee aanchal se
Najar n lage inhe kahi
Ratri mein daitya nisachar ko
Tab kahi jakar wah soti
Shayan kaksha mein chandrasang.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success