Last Days Of Student Life Poem by asheesh sharma

Last Days Of Student Life

Intezaar tha is din ka jaane kabse,
corporate life jeene ke sapne saja rakhe the naajane kab se.
Bade utavle the MBA khatam karne ke liye,
Padhai ka 'the end'karne ke liye

Par naa jane kyon..Dil kabhi 2 Udaas ho jata hai,
Waqt ko rokne ka jee chahta hai

Jin baton ko lekar jhagadte the Aaj un par hansi aati hai,
Na jaane kyon aaj un palon ki yaad bahut aati hai.

Kaha karte the..Badi mushkil se 2 saal seh gaya,
Par aaj kyon lagta hai ki kuch peeche reh gaya.

Na bhoolne wali kuch yaadein reh gayi,
Yaadein jo ab jeene ka sahara ban gayi.

b'day ke din tumse jyada khush tuhare dost hote hain
saalon ko free ki laate aur belt jo marne milte hain

itne dost hain ki kuch logo se toh sirf palke utha ke sirf Hi, kar pate hain
wahin kuch kareebi hain jinke liye jaan bhi hajir kar dete hain

Meri taang ab kaun kheencha karega,
Sirf mera sir khane kaun mera peecha karega.
Jahaan 2000 ka hisaab nahin wahaan 20 rupay ke liye
kaun ladega,

Kaun raat bhar saath jag kar padega,
aur jab neend aaye toh mujhe laate maarega(bali and atef)
Mein ab bina matlab kis se ladoonga,
Bina topic ke kisse faalto bakwaas karoonga,

Kaun fail hone par dilasa dilayega,
Kaun galti se number aane par gaaliyaan sunayega.

piche thele par Chaay kis ke saath piyoonga,
Wo haseen pal ab kis ke saath jiyoonga,
Car bhi hogi aur driver bhi hoga
par hamare sath Trip pe jaane wale ye bichde yaar na honge(4th floor)

Daaku ranjan singh jaise dost kaha milenge Jo khai mein bhi dhakka de aayein,
Par fir tumhein bachane khud bhi kood jayein
Kaha milenge aise kamine magar jigari yar
jo baton me chada kar le jayenge tumhe 7 aasman par
fir kahenge le mar de 1 quarter 1 hi shot me
mar toh di magar agla din nikla bathroom ke pot me

Maana Daru sutte ki aadat yahi par aakar lagi,
magar jo bhi kaho bhai hame toh yeh dono hi acchi lagi

Raat ko 2 baje bajao gaane with full sound
In the morning you will not find any one complaining around

Meri faltu bakwas se pareshaan kaun hoga,
Kabhi muje kisi ladki se baat karte dekh hairaan kaun hoga,

Kaun kahega saale tere joke pe hansi nahin aai,
jaan-bujh kar peeche se Dhakka dekar kahega, sorry bhai

jo maja yaha "old monk" me hai,
wo kabhi "black dog" me bhi naa aayega

Achanak bin matlab ke kisi ko bhi dekh kar paglon ki
tarah hansna,
Na jaane ye fir kab hoga
Class ke 5 min pehle bistar se laat mar kar kon jagaega
bathroom pe jyada der lagane par bahar se galiyan kon sunaega

Doston ke liye Prof aur D se kab lad payenge,
Kya hum ye fir kar payenge,
kon tumhari chappale pehen ke chup chap nikal jayega
aur 2-3 mahine baad jab tut jayegi toh wapas karne aayega

galfriend se ladai hone pe tumhare pass kon aayega
us din toh tumhe daru aur sutta free me pilayega

mess ke khaane ko gaali diye bina khaana hajam nahi hota
magar kal hame ye mess me sath khaana hi yaad aayega

google baba se assignments jugaadne ki aadat hamari ab tak naa jaa pai hain
frankly speaking, jyada nahi, par is poem ki 8 lines hamne wahi se churai hain

naa yaad rahegi ye padhai aur na ye exam mere bhai
jeevan ke bhavsagar me ye sab "moh maaya" hai samai
yaad rahega toh wo hai yeh yaarana hamara
ye ladai, jhagde, apno ke kisse aur ye pyaar hamara

1 hafte ki aur baaki hai hamari SIMS ki life
aur college ne rakh di hai gale me xams ki knife

xam toh ham dedenge 1 rat padh ke 'as usual'
aur average marks bhi aa hamare aa jayenge"as usual'

par in dino me jiyenge ham khul ke sabse milakar haath
le jayenge ye yaadein sametkar apne saath



Written by:
Asheesh Sharma
MBA 2nd year
Symbiosis institute of management studies
2008-10 batch

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success