Kuch Sawaal - Zindagi Se? ? Poem by Parul Agarwal

Kuch Sawaal - Zindagi Se? ?

Rating: 5.0

Majboriyan hain, kuch bechaniyan hain
Zamane bhar kii mashroofiyan hain
Kashmakash mein hain jindagi
Na manzil hai na kinaare hain.

Aakhiri manzil sabki hai ek
Naa jaane kyun phir itnii pareshaaniyan hain
Jaana hai sabkuch chod din ek
Na jaane kyun phir oudhi itni majboriyan hain

Mukh par jhooti muskaan liye
Phirte hain yahan sabhi
Dekha hai kissi ne aisaa koi
Jo samete ho sacchi khushiyaan kabhi?

Dhondati hoon mein aisi koi manzil
Jo karti ho anth saare safar kaa
Phir houngi mein trupt tabhi
Jahan se dikhe naa kuch peeche kaa naa aage kaa!

11/03/08

COMMENTS OF THE POEM
james Xane 22 January 2009

Kaafi gehri soch hai aapki. Zindagi ki kucch gehri aur pechida cheezon ko kaafi aasani se bayaan kiya hai. Likhte rahiye.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success