Kuch Na Karpate Hai Poem by Madhurasha Pandey

Kuch Na Karpate Hai

Rating: 5.0

Humko too aasa lagta hai, duniya ek jharokha hai,

Aadmi jo kahta hai, vo sub to ek dhokha hai,

Har rahoo par apnae vo nayae phool khilata hai,

Sukhi huyie kaliyoo se kyio pyar nahi nibhata hai,

Ek anjan ki tarah muh feer jata hai,

Chanae valoo ki nahi chahat samajh pata hai,

Har manzil par kuch naya pana chata hai,

Har lamaha kuch naya karna chata hai,

Par haath maie uskae kuch nahi aata hai,

Apnae dil ki aawaz vo nahi sun pata hai,

Apni tanhayioo maie aasa doob jata hai,

Chah kar bhi apna pyar nahi papata hai,

Afsoos kae siva kuch nahi karpata hai.......

COMMENTS OF THE POEM
Jazib Kamalvi 16 December 2017

A sublime start with a nice poem, Madhuqasha. You may like to read my poem, Love And Lust. Thank you.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success