Kuch Hi Lamhe Poem by ANJALI KAKATI

Kuch Hi Lamhe

Kehne ko
kuch hi Lamhe pehle ki baat thi..
Tumhare aankhon ke darpan me
Maine, khud ko sharmate paya tha.

Kuch pal hi toh gujre hai,
Tumhare bahon ke aalingan me
Khud ko kasmasakar
Samarpan karte paya tha.

Kuch pal pehle hi
Tumhare astitva me
Khud ko dhalte paaya tha.

Kuch hi lamho me,
Phir ye arso
Se doori.
Phir se poochte hai
Har darpan se
Aapne hi mann ka raasta

Kuch hi lamho me
Meri aakeli se paadi baahe
Dhundhti hai
Tumhare mazboot baahon ka sahara.

Kuch hi lamho me
Khud ko dekhte hai
Khud se
Aarso dur khada.
Tumhari loutne ki raah takti
Mere hone ki har ek wazah.

Kehne ko kuch hi lamhe
Pehle ki baat thi….

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success