Koi Un Par Iljaam Na Lagaye. Poem by Vibhor K Bhardwaj

Koi Un Par Iljaam Na Lagaye.

koi un par iljaam na lagaye.
mere katl ka gunegaar na bataye.

jal jaya karte h aasihqkshama shama me hi,
shama-e-aashiq ko aakhir ye kaun bataye.

kal shaam baithe the jaam haath me liye chat pe dono,
kai kissa-e-gum shab ne to kai humne sunaye.

ye gunaah h mere aur ye saja meri,
hizr me yaar-e-wafa ye bahane humne banaye.

main to bas ab is tanhai-e-sahera me sona chahata hu,
dekar aawaaj koi ab 'vibhor' hume na uthaye.

shab= night. tanhai-e-sahera= desert of loneliness

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Vibhor K Bhardwaj

Vibhor K Bhardwaj

Bijnor, Uttar Pradesh, India
Close
Error Success