Khwahishein Hosh Khoye Poem by Farzana akhtar

Khwahishein Hosh Khoye

Khwahishein hosh khoye jatee hain
Dar ke beech boyey jatee hain

Ungleeyon se lahoo tapakney laga
Phir bhi kaliyaan puroey jatee hain

Kaisa nashaa hai surkh pholon mein
Titliyaan un pe soey jatee hain

Choorriyaan bholey bisrey bachpan ki
Kaisi teesein chubhoyey jatee hain

Kuch bhi us ne kaha nehin lekin
Aankhein har lamha roey jatee hain

Waqt-e-rukhsat khushi ki boondein kyon
Mera ghonghat bhigoey jatee hain

Mere naina ko hasratein meri
Aanso-on mein duboey jatee hain

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success