Khuda Kaisa Dikhta Hoga Poem by ANJALI KAKATI

Khuda Kaisa Dikhta Hoga

Khuda kaisa dikhta hoga,
Kuch tujh jaisa,
Kuch mujh jaisa hi
Dikhta hoga
Aandhero ke is dor mein
Vo bhi
Po phatne ke rah takta hoga.

Khuda kaisa dikhta hoga,
Kuch tujh jaisa,
Kuch mujh jaisa hi
Dikhta hoga
Nafrato ke is sahar mein
Vo bhi,
Diya jala,
Thoda pyar
Thodi vafa
dhoondhta hoga.

Khuda kaisa dikhta hoga,
Kuch tujh jaisa,
Kuch mujh jaisa hi
Dikhta hoga
Aapni hi banayi sristi mein
Roj
thoda khoon
thode aasu
vo bhi,
bahata hoga.

Khuda kaisa dikhta hoga,
Kuch tujh jaisa,
Kuch mujh jaisa hi
Dikhta hoga
Chup ke
thujh mein
mujh mein
is aas mein
jita hoga
ki,
kabhi to hoga aant
is intezar ka,
intejar karta hoga.

Khuda kaisa dikhta hoga,
Kuch tujh jaisa,
Kuch mujh jaisa hi
Dikhta hoga

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success