Khubsoorat Poem by kaavyaa kriday

Khubsoorat

khubsoorat hain wo lub jo pyari batein kertey hain

khubsoorat hai wo muskurahat jo dosaroon ke chehroon per bhimuskan
saja de

khubsoorat hai wo dil jo kisi ke dard ko samjhey jo kisi ke dard mein
tarpey

khubsoorat hain wo jazbat jo kisi ka ehsaas karein khubsoorat hai wo
ehsaas jo kisi

ke dard ka madawa baney

khubsoorat hain wo batein jo kisi ka dil na dukhaein khubsoorat hain
wo ankhein

jin mein pakezgi ho sharm o haya ho khubsoorat hain wo ansoo jo kisi
ke dard ko

mehsoos kerke beh jaein khubsoorat hain wo Hath jo kisi ko mushkil
waqat mein

tham lein khubsoorat hain wo qadam jo kisi ki madad ke liye aagey
berhein! ! ! ! !

khubsooart hai wo sooch jo kisi ke liye acha soochey khubsoorat hai...

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success