Khamushi Ke Takallum Ko Samjha Karo Poem by Bano Ali

Khamushi Ke Takallum Ko Samjha Karo

Rating: 5.0


Aasmanon pe usko na dhoondha karo,
Woh zameenon mein hay usko dekha karo.
Sari batein to kehne ki hoti nahin,
Khamushi ke takallum ko samjha karo.
Muhabbat ke apne taqaze bhi hayn,
Pehle samjho inhein phir taqaza karo.
Dwae karna to asan sa kam hay,
Bat jab hay ki dawon ko sacha karo.
Aaj kal ki yeh gardish ruki na kabhi,
Aaj guzre ga kal per bharosa karo.
Zindigi keya hay koi nahin janta,
Maut aayegi ek din yeh socha karo.
Usse milne ka dil mein yaqeen hay agar,
Zindigi ka kisi se na sauda karo.
Ki wafaon ke bdle wafa, keya kiya,
Bat jab hay jafaon pe sijda karo.
Di muhabbat ke badle muhabbat to keya,
Nafraton mein bhi yeh beej boya karo.
Khauf marne ka dil se nikal jaye ga,
Zindigi uske dar mein guzara karo.
Apne andar ke insan ko dhoondh lo,
Koi parda nasheen hay to parda karo.
Isqadar nasamjh koi hota nahin,
Jo na samjhe ho abtak who samjha karo.

Friday, September 12, 2014
Topic(s) of this poem: god
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
No body knows His story still we read History.
COMMENTS OF THE POEM
Aftab Alam Khursheed 09 November 2014

Bhut khoob aap ne likhaa hai masha Allah Muhabbat ke apne taqaze bhi hayn, Pehle samjho inhein phir taqaza karo.

1 0 Reply
Yasmin Khan 13 September 2014

Boht khoob, khoobsoorat batein nazm mn byaan ki aapne

2 0 Reply
Yasmin Khan 13 September 2014

Boht khoob, khoobsoorat batein nazm mn byaan ki aapne

2 0 Reply
Akhtar Jawad 12 September 2014

Ek khoobsoorat sufiana kalam, bahut pasand aaya.

2 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success