Khamoshi.. Poem by abhilasha bhatt

Khamoshi..

Bin kuch kahe kitna kuch keh jati hai
Bin kuch sune kitna kuch seh jati hai
Bin lafzon k puri dastan bayan kar jati hai
Bin kuch kie kitna kuch kar jati hai
Bin kuch lie kitna kuch dejati hai
Bin awaz k awaz ban jati hai
Bin zaban k ek nai zaban bana jati hai
Bin jane pehchane ajnabiyon ko apna bana jati hai..
Bin kie kuch har shikayaton ko bus maan jati hai..
Khamoshi ek sada hai..
Khamoshi ek ada hai...
Khamoshi ek zaban hai...
Khamoshi ek bayan hai
Khamoshi ek paheli hai...
Khamoshi ek sawal hai ….
Khamoshi ek jawab hai
Main agar khamosh hoon...
To ye na samjho ki main bezuban hoon….

Monday, November 30, 2015
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success