Tum jab dhundho hamain
Aur hum na milain
Kbhi aisa agar ho to Kya ho
Tum jab awaaz do hamain
Aur hum na sunsakain
Kbhi aisa agar ho to Kya ho
Tum shikwa karo agar hamse
Aur hum ansuna krdain tumhe
Kbhi aisa agar ho to Kya ho
Tum dil ki baat karo agar hamse
Aur hum tumhe nazarandaaz kardain
Kbhi aisa agar ho to Kya ho
Tum agar chahaton ki baatain kro hamse
Aur hum aasmaan main dekhte rahain us waqt
Kbhi aisa agar ho to Kya ho
Tum kbhi ruswa ho jao
Aur hum na manayain tumhe
Kbhi aisa agar ho to Kya ho
Tum kisi din ruth kar chale jao
Aur hum tumhain na rokain
Kbhi aisa agar ho to Kya ho
Tum hamse beintehaa mohobbat ki baat kaho
Aur hum tumhe pagal kahain
Kbhi aisa agar ho to Kya ho
Hum tumse waade karain
Aur hum tumse fareb karain
Kbhi aisa agar ho to Kya ho
Magar aisa agar ho to kyun ho
Na tum hum ho
Na hum tum hain..
Hum tumse waade karain Aur hum tumse fareb karain.....Really amazing but something gone amiss, it seems. Thank you.
Meri hindi utni aachi nahi hai, aur devangari parni nahi aati mujhe, to sukhriya isse angreji akshoro mei likhne k liye. Aap ki kavita bohut khubsurat hai, aur iss mei bohut, bohut pyaar chupe hai. Isse humse batne k liye aapka bohut sukhriya Abhilasha ji: -)
Hone ko toh kuch bhi ho sakta hai.. Aap bole is se pehle dil sun sakta hai. Ankhen bandh ho phir bhi ulajala dikh sakta hai Raah bhi manzil ban sakti hai Saathi manchaha mil sakta hai.... Hai na....Lovely poem...10+++++
Han ho to sakta hai....magar manchala sathi manchala hi rehta hai wo kahan kisi ka ho sakta hai
Aisa kabhi hota hai kya Ke unse hum pyaar na kare? Aisa kabhi hota hai kya Ke ekdin bhi unke yadon ke bina guzare? Aisa kabhi hota hai kya Ke jab hum unhe kare yaad Aur ansu o beech me thodi si hasi na dikhe? ? Har baar ki tarah dil ko chu lene wali kavita Abhilasha.. Bohut, bohut hi khoobsurat.. Sukhriya ise humare saath baat ne ke liye..