Kavita - Meri Preyasi Poem by ramesh rai

Kavita - Meri Preyasi

Kavita!

Main tumhe bhula nahi paya
aaj bhi tum mujhe yaad aati ho
jeevan ke har pal mein
sukh mein, dukh mein
har kshan main tumhe yaad karta hun
mera tumhara prem
bachpan ka prem hai
bachpan ka prem kabhi bhula jaa sakta hai


Nahi! kabhi nahi
itne dino se juda hokar
phir tumhare paas aaya hun

Sweekar karo ya na karo
lekin tum ho meri saya
yaad karo wah beete din
jab suna tha yeh geet
tumhari hi mridul hontho se
main kahi kavi n ban jaoon
tere pyaar mein aie kavita

Phir main tumse door gaya
de n saka tumhe utna pyaar
varna main bhi ban jaata
ek aur kavi Gulzar
vada karta hoon
ab nahi chodoonga
tumhara daman

tum to mujhse door rah kar bhi
bas chuki ho lom lom mein
har sanson mein bas tum hi tum ho
roop naya saj dhaj aati ho

yaad karo wah din
jab main kahta tha
meri kavita bikau nahi hai
mainne nibhaya apna wada
door rah kar bhi
sada saath raha

Dharmpatni ne kaha tha
kavita nahi de sakti roti
lekin yeh kya dekh raha hoon
tum to de sakati ho sabko roti.

Khai chodo ein beetee baaton ko
saj dhaj ka sringaar karo
main dekhta rahoon tumko
jeevan ke har pal pal ko

Kabhi lekin mein tum meri
ek pravah aisa lana
samudra ki laharon ko bhi
apne baksha mein chheepa lana
Aei Meri Kavita!
mere jeevan mein har pal aana

Phoolon ki khushboo bankar
vayumandal mein chha jana
kabhi indra dhanush bankar
sapta rango se sajana
pyaase ka pyaas bujhana
bhookohon ko tripta kar jana
deen dukhi par daya dikhana
sabke man ko harshana
bachhon ki tutli aawaaj mein
mamma mamma kah chillana
kabhi unke muskan bankar
sabko mohit karte jana

Main shringaar karoonga tumko
nayee naweli dulhan jaisee ho
tarunaayee ki geet rachoonga
bhauren bhi madrayenge tumko
tum preyasi main premee hoon
dono milkar geet rachenge
geeton ke swar se aalingit hokar
roj naye naye pushp khilenge

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success