Katha Kamini Poem by ramesh rai

Katha Kamini

Tum katha ki kamini bankar
meri kamana mein aawo
ya meri antaratma mein bidh jawao
pushpa khilenge van upvan mein
ya phir ek baar muskao

swaksha chandani ki niharika ban
mere beete din ko aawo
yeh meri kamana hai
yeh meri anant atma hai
yeh mere jivan ki
ek pushp ki avilasha hai

Tum mano ya na mano
neet niyati ki tarah
har tithi mein aawo
ya phir tum meri kundan hriday kee
cheekh bankar, dik dikanta ko
apne hi cheekh ki pratidhwani ko
gunjayman kar do

jahan na koi chhal-kapat ho
jahan na koi vatslya ras ho
wah pushp jo tumne dekha tha
bah gaya ek hawa ke jhonkon mein
loot gaya tha sansar uska
jiski cheekh aaj bhi gunj rahi hai
ghane badalon ko cheer kar
jaise garajta ghanghor badal

aaj tum bhi usi tarah
ek bijali si chamak faila do na
faila do no apni mekhla
faila do na apni prerna

meri kavita mein ho aaye
aisee hi ek ntrityama ban

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success