Kataah Poem by Shambhu Dan Mehru

Kataah

Rating: 3.5

Parwaane ko jalne se kab inkaar hai
muddat hue koi shama jali hi nahein

Aasman khush hai sitaron ki bhari mahafil se

fitarat hai mahafilon ki, subah hone de bikhar jayegi

sabhi gam ajeez hai mujhe
ek saaqi ka gam dekha nahein jata

Tumhari nigahon ki taslli ki kasam
mujhe en nigahon se bada pyaar hai

Mein mehfil hu fir bhi soona hu
Mein baadal hu fir bhi pyaasa hu.

Aise hi saath bahut milte hein
Kuchh ki baat nahein karata hu

Tum hasein nahein
Hasein to wo thi
jo mujhe aur
Hasein kar gayi

Dushman bhi agar dost jaisa hoto
Kaisa achchha ho
jo chahe wohi kaate
to kaisa achchha ho

Gurur bhi ho Zarur, par itana gurur bhi theek nahein
husn ho zarur par itana husn bhi theek nahein

Khushnaseeb kahoon ya badnaseeb unhein
Jinhone zindgi ki talaatam nahein dekhi

Le sako to meri ankhon ki rosshni lelo
mein khushiyon ko aur bada dekhna chahata hu
enn phoolon ke aakar bahut chhote hein
Mein inko aur bada dekhna chahata hu.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success