Karam Ka Ek Qatra Daagh-E-Daaman Dho Bhi Sakta Hai... Poem by Abhishek Omprakash Mishra

Karam Ka Ek Qatra Daagh-E-Daaman Dho Bhi Sakta Hai...

Yakeen Aata Nahi Dil Ko Ki Aisa Ho Bhi Sakta Hai,
Humara Haal-E Ghum Sun Kar Wo Zaalim Ro Bhi Sakta Hai,

Kabhi Insaan Akela Ho Ke Bhi Tanha Nahi Hota,
Sar-E Mehfil Kabhi Baithe Bithaaye Kho Bhi Sakta Hai,

Taajjub Kyon Hai Tum Ko Hamari Begunaahi Par?
Karam Ka Ek Qatra Daagh-E-Daaman Dho Bhi Sakta Hai,

Kabhi Insaan Ko Neend Aati Nahi Phoolon Ke Bistar Par,
Kabhi Patthar Pe Sar Rakh Kar Maze Se So Bhi Sakta Hai,

Wo Kehte Hain Teri Khaatir Sitaare Tod Laayenge,
Ba-Zaahir Yun Nahi Hota Magar Yun Ho Bhi Sakta Hai.

Tuesday, February 4, 2014
Topic(s) of this poem: Love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Uski Berukhi
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success