Kahin Koi Aisa Bhi Hota Hai....... Poem by shraddha shraddha the poetess

Kahin Koi Aisa Bhi Hota Hai.......

Rating: 2.8


Kehte hain maa se bachchey ka rishtaa,,
Sabse oochaa hota hai...
Ek bachcha maa k aanchal mei,
Lakhon sapne sanjota hai..
Pr kahin koi aisa bhi hota hai,
Jo us aanchal k bina hi sota hai..
Haan shaayad kahin koi aisa bhi hota hai..

Kahin koi khushiyon k beej bota hai,,
To koi hr pal apni nanhi aashayein bhi khota hai..
Koi maa ki godh m chain se sota hai kahin,,,
Or kahin koi us godh se door raat bhar rota hai..
Uske aansoo pochhne wala koi nahi hota hai,,,
Haan kahin koi aisa bhi hota hai...

Kahin koi khushiyon k ujaalon mei,,
Sundr -ujwal bhavishya sanjota hai
Kahin koi dukhon k andheron mei
Nanhi abhilashayein tk khota hai..
Koi khushiyaan batorta hai kahin...
Koi dukhon ka pahaar dhota hai..
Haan kahin koi aisa bhi hota hai..

Jiske pas ma nahi usse poochho.,,
Kaisa mehsoos hota hai..
Maa tumhare liye vrdaan hai,,
Wo to use pane ki dua krke sota hai..
Tumhe jis maa ki kadrr nahi,,
Wo us maa k pyaar k liye rota hai..
Haan kahin koi aisa bhi hota hai.....

Shraddha...........

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
hm sbhi bahot khushnaseeb hain k hme maa jaisa vrdaan mila..prhr koi itna khushnaseeb nahi hota...maa ke pyaar ki kadr us bachchey s poochhni chahiye jo use paane ki chah m duayeinmaangta hai...or hme usi maa ki fikrr paabndi lgti hai........
COMMENTS OF THE POEM
Neela Nath Das 04 September 2013

I don't know Hindi well.But I got the meaning.Well done Shr.

0 0 Reply
Sujeet Kumar Vishwakarma 05 September 2013

mamta ka vardaan bahut anokha hota hai, dharti par hi swarg ka ek jharokha hota hai. Brilliantly written... :) 10/10

0 0 Reply
Ajay Srivastava 12 September 2013

Every where Aisa hi Hota Hai Orphan child ke liye Aisa nahi Hota Hai Even than fir bhi Aisa hi Hota Hai Bharat maa to hoti hai.

0 0 Reply
Aman Arora 07 September 2013

This one is well written, in terms of structure and rhythm. Very touching as well.

0 0 Reply
Shraddha The Poetess 05 September 2013

thank u so much brother...........

0 0 Reply
Shraddha The Poetess 05 September 2013

thnx neeland hari ji....thnx sujeet bhaiya, , thnx ankur bhaiya and thnx nirvaan sir.................

0 0 Reply
Nirvaan Babbar 05 September 2013

very nice & very heart worming

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success