Kahani Poem by Poonam Mehta

Kahani

Rating: 4.5

Ek adhoori si kahani hai..
baadlon ko sunani hai.
jajbaat kuch kam reh gaye...
isliye boondon ki jubani hai.

Dil ko choo jaaye to har lafz sachha,
varna ye fasaana hai.
Haal-e-dil bayan karne ka,
chhota sa bahana hai.

Jumme se kuch is tarah,
ye silsila chalta raha.
shabd milte rahe,
mein kissa gadta raha.

Phir POONAM se amavas tak,
aandhi kuch aisi bahi-
kalam to chali,
par syahi bikhar gayee.

Jo shabdon mein bayan hui,
woh sabne padi hai.
par jo syahi mein beh gayi,
woh kisne suni hai.

Is adhuri si kahani ka
bus itna sa phasana hai.

COMMENTS OF THE POEM
Yash Shinde 04 November 2012

I am really touched by this wonderful incomplete story I wish I would have got to read the the full one....................great personification and emotions :)

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success