Kab Jagoge//Hindi Poem by Aftab Alam

Kab Jagoge//Hindi

Rating: 5.0

Kab jaage jo ab jagoge,
So kar hi to khona hai,
Ye vishw hai veer jawaano ka,
Is baat ka hi to rona hai,

Jo hona hai wo hona hai,
Jiwan swapn salona hai,
andhe-behron ki nagri men,
Jina bhi kya jina hai,

Jisko dekho usko dekho,
Khoya khoya rehta hai,
Apna jiwan hi jiwan hai,
Baqi patti dona hai,

Aaj chhupe ghar men baithe hain,
Ankhen munde hansna hai,
Kal ayegi meri bari,
Tab phir kya karna hai,

Jo kuchh karna aaj hi karlo,
Sanso men ab aag bhi bharlo,
Bhut bhavishy ki baa tab chhodo,
Soncho vartman men kya karna hai

Wednesday, October 15, 2014
Topic(s) of this poem: awakening
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 15 October 2014

Jo kuchh karna aaj hi karlo, Sanso men ab aag bhi bharlo, Bhut bhavishy ki baat ab chhodo, Soncho vartman men kya karna hai A great message

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success