Jindgi Or Maut Ki Guftgu Poem by Mohit Aggarwal

Jindgi Or Maut Ki Guftgu

aj jindgi ne mauhlat mangi thi jeene ki
magar hum to taanv mein use angutha dikha ke chal diye
chehre pe muskurahat liye ankhon mein chamak
magar dil tha bhara, har us sakhs ke liye
jise chah kar bhi na chah pana majboori thi hamari
sahi ya galat ke ehsaas se anjaan
is khushi mein ki manjil door nahin hai
or is baat ka yakin bhi hai ki ye nahin thukrayegi
lipat jaoonga mein bhi har gum bhula kar
jis tarah beta lipatta hai apni maa ko dekh kar
jindgi se koi hamein nafrat nahin thi
magar mohabbat to humne sirf ek se hi ki thi
aj bhi maut mein usi ka chahra dikhta hai
isi liye to samay ko piche chodte huey
badhe ja rahe hain har us yaad ko fir se jeete huey
taki har us waqt ko do baar jee sakein
jiska nata hai kisi na kisi samay se, humse
chahte to hai ki yaadon ka sailab ab khatm ho
or hum apna safar araam se kar sakein
magar sachai ko jhuthla bhi nahin sakte
ye kadam ab shareer ko beech mein patakne ki baat karte hain
dimag unhein adesh de raha hai badhe chalo, manjil door nahin hai
ab hum apne safar ka agaajh kar chuke hain
manjil maut rasta bahut kathin
magar hum paar lagayenge sirf tere liye! ! ! ! ! ! ! ! !

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Mohit Aggarwal

Mohit Aggarwal

Shahbad Markanda
Close
Error Success