Jindgi Ke Kutch Lamhein Poem by Mohit Aggarwal

Jindgi Ke Kutch Lamhein

Jindgi mein lamhooon ki ek kitab si baan gayi hey
Jiske har panne per mere hashtakshra hein
Unke bhi hein jinhone mera sath diya.

Jindgi ne lamhon ki ek mala si piro di hey,
Lekin usne itne kali moti ku piro diye?
Jinko dhote dhote hum ku ro diye,
Inka jawab to sirf hashtakshra hi de sakte hein,
Ya khud jindgi lamhon ki jubani.

Lamhein to bas hamari ankhon se dunia ko dekhte hein,
Kabhi jor se garaj padte hein,
To kabhi jor se paras padte hein,
To kabhi in lamhon ka gala bhi sukha pad jata hey.

Jindgi ne lamhon ko ya lamhon ne jindgi ko pala hey?
Ye sawal aj bhi gumnami se dhaka hey,
Lamhein, jo har mod pe tumhara sath dete hein,
Kya tumne kabhi unhein ek mauka diya
Ki vo bhi safed moti piron sakein?

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Mohit Aggarwal

Mohit Aggarwal

Shahbad Markanda
Close
Error Success