Jamal-E-Yar Poem by Akhtar Jawad

Jamal-E-Yar

Rating: 5.0


Sabz bheege pairahan men paikar-e-marmar ko dekh,
Tune keya dekhe naheen barsat men joohi ke phool,
Samne uske main kyun na sari baten jaoon bhool,
Kakul-e-uswad ke neeche aariz-e-ahmar ko dekh.

Dekh le uski jabeen par do darakhshandah hilal,
Teergi se jinki sharmata hay noor-e-mahetab,
Gesuaon men doob jata hay chamakta aftab,
Nargisi aankhen hain ya shair ka hain rangeen khyal.

Dekh aa kar uske nazuk lub ke jinke darmian,
Bijlion ki fauj saf ara khadi tayyar hay,
Dant hain ya motion ka kondta ek har hay,
Muskurahat hay yeh uski ya bahar-e-gulfishan.

Woh to bus raanaion ki rang bhari tasveer hay,
Shair-e rangeen taba ka ek nadir khawab hay,
Woh kitab-e-husn ka mehka hua ek bab hay,
Qudrat-e-rangeen bayan ki dilnasheen tehreer hay.

Thursday, April 3, 2014
Topic(s) of this poem: beauty
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
This an Urdu poem I had written when I was 21. I am thinking to translate it in English.
COMMENTS OF THE POEM
Khalida Bano Ali 09 January 2015

Jamliyati Shairy ka ek nadir namoona................10

0 0 Reply
Muhammad Ali 04 April 2014

Rich poetry, indeed. Not just the beloved, poem is also very beautiful. Beautiful is the heart that can hold these feelings. Nice.

1 0 Reply
Khalid Saifullah 04 April 2014

Although he writes beautiful poems in English but the real poet is exposed in his own language. What a beauty in describing beauty.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success