** Jagay ** Poem by Syed Anwar Yarkhan Jilani

** Jagay **

Harras o khauf ke mausam mai bal o per jagay
Ye hai kamal'a aseeri ke sab huner jagay.

Ham aitabar gazeeda teri mohabbat mai
Dayar'a khawb se niklay to raat bhar jagay.

Ata ho hijer ki sadiyow ko kash wo tarteeb
Visaal'a yar ki taizeeb baam per jagay.

Goobar'a yash mai roshan hai neu tilisme sharab
Shabbe siya mai jaise ke jadoogar jagay.

Kitab'a lams ke awraakh jagmaga yenge
Hamari terha se ak baar tu ager jagay.

Ye shab o rooz ka taiyun fareb'a gardish hai
Karoo kayam toh zeray kadam safer jagay.

Nahi fasana aik shab ka, ye alf laila hai
Anwar ke saat jo jage sooch kar jagay.

COMMENTS OF THE POEM
Shahzia Batool 08 September 2013

Ye shab o rooz ka taiyun fareb'a gardish hai Karoo kayam toh zeray kadam safer jagay.... umdaa shayiri! ! !

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success