Intzaar Poem by ramesh rai

Intzaar

Intzaar ab bhi hai taron ko
Ek pal dekhne ke liye
Pratah nit bhaskar ke dar se
Chhup jaten hai kuchh pal
Shashi kitna kamjor nikla
Jo n dara saka in sabko
Lajwanti yeh haye dhara
Phir aagaye taaren sab
Kya karti bechari mari
Dhak leti apna vakshasthal
Phir bhi kaise samjhaye jag ko
Kaun ise samajh payega
Matra shashi ne hi uska
Ekpal saundarya nihara tha
Tabhi to wah nit pratah
Snan karti, sajdhaj ban aati apne kaksha.

COMMENTS OF THE POEM
Shahzia Batool 07 April 2012

though some of the words i couldn't get...n i'll try to learn, ..but the 1st two lines are offering a beautiful pathetic fallacy...

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success