Hussain-Tasveer-E-Ishq Poem by Akhtar Jawad

Hussain-Tasveer-E-Ishq

Rating: 5.0


Tasveer to thi kamil lekin,
Yeh rang na tha,
Yeh jan na thee,
Yeh shan na thee.
Yeh kiske lahu ne rang bhare,
Tasveer wohi shahkar bani,
Jo pheeki thi,
Berang bhi thi.
Yeh karb-o-bala men kaun aaya,
Keya shan hay is matwale ki,
Yeh jan hay ummat wale ki.
Is ret ke tapte maidan men,
Yeh rang anokhe laya hay.
Yeh Akbar hain,
Yeh Quasim hain,
Yeh Ibn-e-Hasan,
Yeh Asghar hain,
Yeh qous-o-qazah ke rang hain ya,
Phir noor ke rangeen dhare hain,
Yeh Ahmed ke ghar wale hain,
Quran ke natiq pare hain,
Nayab sahi,
Nadir bhi sahi,
Yeh rang bahut kamyab sahi,
Tasveer yun hi rah jaegi.
Koi pani lado thora sa,
Yeh rang bahut he peyase hain.
Asghar ko liye yeh kaun badha,
Woh teer chala,
Woh khoon ubla.
Kiskis ke lahoo se ishq ki is
Tasveer ko ranga jaye ga.
Quasim bhi gaye,
Akbar bhi gaye,
Asghar bhi gaye!
Ab koi nahin,
Ek hujjat hay, so rahne do.
Tasveer ke lekin qalb men yeh,
Berang sa kaisa halqa hay,
Dekho to zara keya likhkha hay,
Keya sibt-e-Nabi ka nam hay yeh!
Lo yeh bhi chale!
Ek shor utha,
Sijde men mujahid par kisne,
Yeh waar kiya, yeh waar kiya!
Tasveer hui rangeen teri,
Tayyar hui,
Shahkar bani,
Kamyab sahi,
Nadir bhi sahi,
Tasveer teri nayab sahi,
Fankar mere batla de zara,
Keya beete gi ab Zainab par!

Friday, April 11, 2014
Topic(s) of this poem: love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
An old Urdu Poem
COMMENTS OF THE POEM
Ajay Kumar Adarsh 23 August 2016

bahut hi sundar rachna...........10++

0 0 Reply
Khalida Bano Ali 04 January 2015

A heart touching poem........................10

0 0 Reply
Aftab Alam Khursheed 21 September 2014

Glory to be Allah..you have painted the waqya e Qerbla in a beautiful way and Behan Shahzia has commented with verses .....

0 0 Reply
Shahzia Batool 13 April 2014

Qura'an k naatiq paaron per alfaaz k sundar moti se likhi ye mehez ik nazm nhi bus Unn ki sadaey Hal min pr ik dil se uthi Labbaik he ye jb jaan Khuda ko sonpen ge Labbaik yehi le jaen ge or unn ko jaa k sunaen ge Qura'an k naatiq paaron se milne ko hi jannat jaen ge! jazaak Allah for the share! brother!

0 0 Reply
Ellias Anderson Jr. 12 April 2014

Dear Akhtar, i was wondering that is this Poem About Imam Hussein Alayhee Salam? thanks.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success