Hume Sirf Dant Samaj Aati Hai Poem by imnt alive

Hume Sirf Dant Samaj Aati Hai



kuch kuch baat samaj aati hai
hume hamesha dant samaj aati hai
jab tak danda nai padhta hume
hume har baat bakwas nazar aati hai
kuch kuch baat samaj aati hai
hume hamesha dant samaj aati hai
jab tak khilona tut na jaye
hume uski kadar samaj na aati hai
jab tak koi humse ruth na jaye
hume us insaan ki yaad nai aati hai
kuch kuch baat samaj aati hai
hume bas dant samaj aati hai
kanta jab tak chub na jaye
galtian samaj nahi aati hai
kuch gadbadh jab tak ho na jaye
hume akal nai aati hai
kuch kuch baat samaj aati hai
hume sirf dant samaj aati hai

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
imnt alive

imnt alive

jannat e hasin
Close
Error Success