'Holi' - Prem Ki Poem by Parul Agarwal

'Holi' - Prem Ki



Aao Aao, Yahan sabh aao
dekho kaisey khel raha
natkhat nand laal yahan
chupke se chura raha
makhan mishri latka hua..

'kaanha kaanha' ki pukaar
har oar, Gopiyan dhonde
charon tarafh, khud
bechain hain - rang jaane ko
prem mein apne 'hari' ke..

bhar pichkari rang se
bhiga joh deve
nand kishore
chad jaaye rang pakka
bhakti aur preet ka....

aao aaj hum phir
mil khelein aisey pakke
prem rang ki holi
joh bhar de jeevan aisa
kabhi na sukhe rang phir kabhi....!


~18/02/2010~

*Rangon ke tyohar par khushiyon ki bhent..

COMMENTS OF THE POEM
Ranjit Ravindran 21 February 2010

Aapke is 'Prem rang ke holi' bahut acha laga.

0 0 Reply
Sukumar Choudhuri 19 February 2010

Dear Parul, Thanks afor yr mail after a long long interval. Rangon ke tyohar par khushiyon ki bhent bahoot aachha laga. Prem ki eiye holi main hamara rangbhara shuvkamna sweekar lena. Sukumar

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success