Har Mausam Hay Peyar Ka Mausam Poem by Akhtar Jawad

Har Mausam Hay Peyar Ka Mausam

Rating: 4.5

Har mausam hay peyar ka mausam to aao na hum peyar karein,
Main band kamre mein leti hoon bahar to loo aur garmi hay,
Na jane kahan tum phirte ho aa jao yeh kamra thanda hay,
Dopahar bhi hay sannata bhi aur chai hui khamoshi hay.

Wuh dekho badal jhoom ke aaye thandi hawaen chalne lageen,
Aao hum chat pe nahate hayn yeh barish bhi zor ki hoti hay,
Na jane kahan tum baithe ho kis soch mein gumsum rahte ho,
Yeh barkha rut na kho jaey sun to lo keya kahti hay.

Balon mein chandi chamakne lagee aur patte peir se girne lage,
Aankhon mein abhi tak kajal hay haton pe abhi tak mehndi hay,
Aao to sahi phir dekho ge keya kehti hoon keya karti hoon,
Yeh dil to aaj bhi zindah hay aur peyas abhi tak lagti hay.

Main kanp rahi hoon thandak se tum aa ke chupa lo bahon mein,
Main band kamre mein leti hoon bahar to bahut hi sardi hay,
Keyun roothe ho is mausam mein aa jao mana loon gi tumko,
Is neend ka koi bharosa nahin yeh chupke se aa sakti hay.

Wuh dekho kaliyan chatakhne lageen baghon mein panchi chahakne lage,
Is rang-o-boo ke toofan mein ithla ke hawa bhi chalti hay,
Tum aae to ithla ke uthi phir phool bani aur main mehki,
Main kamre se bahar aa hi gayee yeh kaisi chai masti hay,

Sandes neya lekar aai jab tum aae to bahar aai,
Lo main phir se zinda hui ang ang mein dauri masti hay,
Balon mein khizab lagakar main mazi mein phir laut aayee hoon,
Dekho to zara is aurat ko is umr mein kaisi behki hay!

Thursday, January 8, 2015
Topic(s) of this poem: seasons
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Simply my imagination, perhaps I want such a response from my beloved.
COMMENTS OF THE POEM
Bisma Mirza 09 January 2015

heheh Lovely one! ! ! 10 on 10

1 0 Reply
Khalida Bano Ali 08 January 2015

Ek bahut hi khoobsoorat nazm.....................10

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success